
Waqt zindagi ka woh hissa hai jo har insaan ko kuch na kuch sikhakar zaroor guzarta hai. Kabhi ye khushiyon ki yaadein de jaata hai, kabhi mushkil lamhon se mazboot banata hai, aur kabhi rishton ki asli ahmiyat samjha deta hai. Waqt Shayari unhi ehsaason ko khoobsurat alfaazon mein bayan karti hai jo badalte waqt, zindagi ke tajurbon aur yaadon ko dil se jod dete hain.
Har insaan ki zindagi mein aise pal aate hain jab waqt, rishte, umeedein aur yaadein ek doosre se gehra rishta bana lete hain. Isi liye Waqt Shayari in Hindi sirf emotional lines nahi, balki life lessons, patience, success, failure aur relationships ki sachchai ko bhi bayan karti hai. Ek chhoti si shayari bhi dil ko chhoo sakti hai aur sochne par majboor kar sakti hai.
Is collection mein aapko Waqt Shayari, Zindagi Shayari, Heart-Touching Shayari, Emotional Status, aur short, shareable lines milengi jo WhatsApp Status, Instagram Captions aur social media posts ke liye perfect hain. Har shayari ko is tarah chuna gaya hai ke aap apne jazbaat aur zindagi ke tajurbon ko aasani se alfaazon mein bayan kar saken.
Waqt Shayari

लगता था ज़िन्दगी बदलने में वक़्त लगेगा पर
कहाँ पता था बदलता हुआ वक़्त ज़िन्दगी बदल देगा !!
Lagta tha zindagi badalne mein waqt lagega par
Kahan pata tha badalta hua waqt zindagi badal dega !!

वो वक्त भी बहुत खास होता है
जब सर पर माता पिता का हाथ होता है !!
Wo waqt bhi bahut khaas hota hai
Jab sar par mata pita ka haath hota hai !!

बदल जाओ वक्त के साथ या फिर वक्त बदलना सीखो
मजबूरियों को मत कोसों हर हाल में चलना सीखो !!
Badal jao waqt ke saath ya phir waqt badalna seekho
Majbooriyon ko mat koson har haal mein chalna seekho !!

वक़्त कहीं रुकता नहीं, ये आगे बढ़ता ही जाता है
इंसान चाहे रुक जाए पर ये कभी नहीं रुकता है !!
Waqt kahin rukta nahi, ye aage badhta hi jata hai
Insaan chahe ruk jaaye par ye kabhi nahi rukta hai !!

वक्त सबको सिखा देता है जीने का हुनर
कभी खुशी में तो कभी दर्द के सफर में !!
Waqt sabko sikha deta hai jeene ka hunar
Kabhi khushi mein to kabhi dard ke safar mein !!
Rishte Waqt Shayari

वक़्त के साथ अपने भी पराये हो जाते हैं,
वक़्त के साथ पराये भी अपने हो जाते हैं।
Waqt ke saath apne bhi paraye ho jaate hain,
Waqt ke saath paraye bhi apne ho jaate hain.
जब हम रिश्तों के लिए वक़्त नहीं निकाल पाते,
तो वक़्त हमारे दरमियान से रिश्ते निकाल देता है।
Jab hum rishton ke liye waqt nahi nikal paate,
To waqt humare darmiyaan se rishte nikaal deta hai.
सच्चे रिश्ते कुछ नहीं माँगते,
सिवाय वक़्त और इज़्ज़त के।
Sachche rishte kuch nahi maangte,
Siwaaye waqt aur izzat ke.
बदला हुआ वक़्त है, ज़ालिम ज़माना है,
यहाँ मतलबी रिश्ते हैं, फिर भी निभाना है।
Badla hua waqt hai, zaalim zamaana hai,
Yahaan matlabi rishte hain, phir bhi nibhaana hai.
मुझे तो तोहफों में अपनों का वक़्त पसंद है,
पर आजकल इतने महंगे तोहफे देता कौन है।
Mujhe toh tohfon mein apno ka waqt pasand hai,
Par aajkal itne mehange tohfe deta kaun hai.
आँखों की नमी बढ़ गई, बातों के सिलसिले कम हो गए,
जनाब ये वक़्त बुरा नहीं है, बुरे तो हम हो गए।
Aankhon ki nami badh gayi, baaton ke silsile kam ho gaye,
Janab ye waqt bura nahi hai, bure to hum ho gaye.
वक़्त बदलने से उतनी तकलीफ नहीं होती,
जितनी किसी अपने के बदल जाने से होती है।
Waqt badalne se utni takleef nahi hoti,
Jitni kisi apne ke badal jaane se hoti hai.
वक़्त सबको मिलता है ज़िन्दगी बदलने के लिए,
पर ज़िन्दगी दुबारा नहीं मिलती वक़्त बदलने के लिए।
Waqt sabko milta hai zindagi badalne ke liye,
Par zindagi dobara nahi milti waqt badalne ke liye.
वक़्त की फितरत नहीं ठहरकर रहने की,
इसकी भी फितरत है आदमी की तरह।
Waqt ki fitrat nahi thaharkar rehne ki,
Iski bhi fitrat hai aadmi ki tarah.
कभी एक सी नहीं रहती वक़्त की फितरत ऐ दोस्त,
खुद भी रो जाते हैं औरों को रुलाने वाले।
Kabhi ek si nahi rehti waqt ki fitrat ae dost,
Khud bhi ro jaate hain auron ko rulaane wale.
Waqt Shayari in Hindi

वक़्त रेहता नहीं कहीं टिक कर,
आदत इसकी भी आदमी सी है।
Waqt rehta nahi kahin tik kar,
Aadat iski bhi aadmi si hai.
लगता था ज़िन्दगी बदलने में वक़्त लगेगा, पर
कहाँ पता था, बदलता हुआ वक़्त ज़िन्दगी बदल देगा।
Lagta tha zindagi badalne mein waqt lagega, par
Kahan pata tha, badalta hua waqt zindagi badal dega.
कितना भी समेट लो हाथों से, फिसलता जरूर है,
ये वक्त है साहब, बदलता जरूर है।
Kitna bhi samet lo haathon se, phisalta zaroor hai,
Yeh waqt hai sahab, badalta zaroor hai.
बदल जाओ वक्त के साथ, या फिर वक्त बदलना सीखो,
मजबूरियों को मत कोसों, हर हाल में चलना सीखो।
Badal jao waqt ke saath, ya phir waqt badalna seekho,
Majburiyon ko mat koso, har haal mein chalna seekho.
वक् सब के पास है लेकिन हमेशा के लिए नहीं,
जो चाहे कर लो आज में ही कल का भरोसा नहीं।
Waqt sab ke paas hai lekin hamesha ke liye nahin,
Jo chahe kar lo aaj mein hi kal ka bharosa nahin.
औरों की मर्जी से कभी जिया नहीं करते,
हम वक्त पर अफसोस किया नहीं करते।
Auron ki marzi se kabhi jiya nahin karte,
Hum waqt par afsos kiya nahin karte.
वक्त कहां रुकता है रूकते तो हम हैं,
कभी किसी लम्हे में, कभी किसी शख्स में।
Waqt kahaan rukta hai rukte to hum hain,
Kabhi kisi lamhe mein, kabhi kisi shakhs mein.
तुम्हारा किया तुम्हे ही बतलाता है,
समय आइना जरूर दिखलाता है।
Tumhara kiya tumhe hi batlata hai,
Samay aaina zaroor dikhlaata hai.
वक्त सबको मिलता है जिन्दगी बदलने के लिए,
पर जिन्दगी दुबारा नहीं मिलती वक्त बदलने के लिए।
Waqt sabko milta hai zindagi badalne ke liye,
Par zindagi dobara nahin milti waqt badalne ke liye.
कभी वक्त मिला तो जुल्फें तेरी सुलझा दूंगा,
आज उलझा हूं जरा वक्त को सुलझाने में।
Kabhi waqt mila to zulfen teri suljha doonga,
Aaj uljha hoon zara waqt ko suljhane mein.
Bura Waqt Shayari

वक़्त की मार सबसे गहरी होती है,
ये अच्छे अच्छों को झुका देती है।
Waqt ki maar sabse gehri hoti hai,
Ye achhe achhon ko jhuka deti hai.
वक़्त की रफ़्तार को कोई नहीं रोक सकता,
ये हमें आगे बढ़ना सिखाता है।
Waqt ki raftaar ko koi nahi rok sakta,
Ye humein aage badhna sikhata hai.
वक़्त का असली मज़ा वही लेता है,
जो हर हाल में खुश रहना जानता है।
Waqt ka asli maza wahi leta hai,
Jo har haal mein khush rehna jaanta hai.
वक़्त हमेशा सिखाता है,
बस सुनने वाला चाहिए।
Waqt hamesha sikhata hai,
Bas sunne wala chahiye.
वक़्त कभी भी किसी पर मेहरबान हो सकता है,
बस धैर्य रखना पड़ता है।
Waqt kabhi bhi kisi par meherbaan ho sakta hai,
Bas dhairya rakhna padta hai.
वक़्त की धूप हर किसी पर पड़ती है,
फर्क बस इतना है कोई जल जाता है, कोई चमक जाता है।
Waqt ki dhoop har kisi par padti hai,
Fark bas itna hai koi jal jaata hai, koi chamak jaata hai.
वक़्त इंसान को इतना मज़बूत बना देता है,
कि वो अपने दर्द पर भी मुस्कुरा सके।
Waqt insaan ko itna mazboot bana deta hai,
Ki wo apne dard par bhi muskura sake.
वक़्त की सच्चाई यही है,
ये किसी के लिए रुकता नहीं।
Waqt ki sachchai yahi hai,
Ye kisi ke liye rukta nahi.
वक़्त हर जख़्म भर देता है,
लेकिन निशान छोड़ देता है।
Waqt har zakhm bhar deta hai,
Lekin nishaan chhod deta hai.
बुरा वक़्त भी एक तोहफ़ा है,
ये बता देता है कौन अपना है और कौन बेवफ़ा है।
Bura waqt bhi ek tohfa hai,
Ye bata deta hai kaun apna hai aur kaun bewafa hai.
Bura Waqt Shayari 2 Lines

वक्त को बुरा ना कहो,
लोग असलियत दिखा देता है।
Waqt ko bura na kaho
log asliyat dikha deta hai.
बुरे वक्त में जो साथ ना छोड़े,
वही सच्चा अपना होता है।
Bure waqt mein jo saath na chhode,
wahi sachcha apna hota hai.
कौन अपना है कौन पराया,
ये वक्त ही सिखा देता है।
Kaun apna hai kaun paraya
, ye waqt hi sikha deta hai.
बुरा वक्त पूछकर नहीं आता,
सबको आज़मा कर चला जाता है।
Bura waqt poochhkar nahi aata
, sabko aazma kar chala jaata hai.
टूटे ख्वाब और हालात ही
इंसान को मजबूत बना देते हैं।
Toote khwaab aur haalaat hi
insaan ko mazboot bana dete hain.
वक्त का काम गुजरना है,
अच्छा हो तो शुक्र करो बुरा हो तो सब्र।
Waqt ka kaam guzarna hai,
achha ho to shukr karo bura ho to sabr.
बुरे वक्त में ही असली चे
हरा सबका सामने आता है।
Bure waqt mein hi asli chehra
sabka saamne aata hai.
कभी वक्त सब ठीक नहीं करता,
बस इंसान को बदल देता है।
Kabhi waqt sab theek nahi karta
, bas insaan ko badal deta hai.
वक्त जख्म देता है
, लेकिन साथ में समझ भी दे जाता है।
Waqt zakhm deta hai,
lekin saath mein samajh bhi de jaata hai.
जो बुरे वक्त में भी साथ रहे,
वही जिंदगी की सबसे बड़ी जीत है।
Jo bure waqt mein bhi saath rahe
, wahi zindagi ki sabse badi jeet hai.
Zindagi Waqt Shayari

वो जो कपड़े बदलने का शौक रखते थे,
आख़िरी वक्त न कह पाए कफ़न ठीक नहीं। 🥀
Wo jo kapde badalne ka shauk rakhte the,
Aakhri waqt na keh paaye kafan theek nahi.
बादलों की ओट से किसी दिन तो सूरज निकलेगा ज़रूर,
सफर जारी रख ज़िंदगी का, एक दिन वक्त बदलेगा ज़रूर। 🌅
Baadalon ki oṭ se kisi din to sooraj niklega zaroor,
Safar jaari rakh zindagi ka, ek din waqt badlega zaroor.
दिल खोल कर हंसना तो मैं भी चाहता था,
जिम्मेदारियों के बीच कभी वक्त ही नहीं मिला। 💔
Dil khol kar hansna to main bhi chahta tha,
Zimmedariyon ke beech kabhi waqt hi nahi mila.
सदा ऐश दौराँ दिखाता नहीं,
गया वक्त फिर हाथ आता नहीं। ⏳
Sada aish dauran dikhata nahi,
Gaya waqt phir haath aata nahi.
किसी पर नर्म, किसी पर होता है सख्त,
कल और था, आज दूसरे का है ये वक्त। 🖤
Kisi par narm, kisi par hota hai sakht,
Kal aur tha, aaj doosre ka hai ye waqt.
एक और शाम हो गई, एक और दिन ढल गया,
ज़िंदगी की किताब से एक और पन्ना निकल गया। 📖
Ek aur shaam ho gayi, ek aur din dhal gaya,
Zindagi ki kitaab se ek aur panna nikal gaya.
उम्र का एक एक साल बीत रहा है,
और हम वक्त के साथ ख़ाक हो रहे हैं। 🥀
Umr ka ek ek saal beet raha hai,
Aur hum waqt ke saath khaak ho rahe hain.
सपना कुछ और ही देखा था,
और वक्त ने कुछ और ही दिखा दिया। 💔
Sapna kuch aur hi dekha tha,
Aur waqt ne kuch aur hi dikha diya.
वक्त बदलता है इंसान बदल जाते हैं,
वक्त वक्त पे रिश्तों के अंदाज़ बदल जाते हैं। ⏰
Waqt badalta hai insaan badal jaate hain,
Waqt waqt pe rishton ke andaaz badal jaate hain.
वक्त का सितम तो देखिए,
खुद गुज़र जाता है हमें वही छोड़ कर। 🥀
Waqt ka sitam to dekhiye,
Khud guzar jaata hai humein wahi chhod kar.
Waqt Shayari in Hindi on Life

Also Read: Shayari on Life
जिंदगी में वक्त ही सबसे बड़ा शिक्षक है,
जो बिना बोले सब कुछ सिखा देता है।
Zindagi mein waqt hi sabse bada teacher hai,
Jo bina bole sab kuch sikha deta hai.
वक्त बदलते देर नहीं लगती जनाब,
आज जो अपना है कल पराया भी हो सकता है।
Waqt badalte der nahi lagti janaab,
Aaj jo apna hai kal paraya bhi ho sakta hai.
जिंदगी और वक्त दोनों एक जैसे हैं,
समझ आ जाए तो सब आसान लगते हैं।
Zindagi aur waqt dono ek jaise hain,
Samajh aa jaye to sab aasan lagte hain.
वक्त हर किसी को आईना दिखाता है,
कौन अपना है और कौन सिर्फ दिखावा है।
Waqt har kisi ko aaina dikhata hai,
Kaun apna hai aur kaun sirf dikhawa hai.
जिंदगी वही है जो वक्त सिखा दे,
वरना ख्वाब तो हर कोई देख लेता है।
Zindagi wahi hai jo waqt sikha de,
Warna khwab to har koi dekh leta hai.
वक्त की रफ्तार को कोई रोक नहीं सकता,
ये हर दर्द को भी कहानी बना देता है।
Waqt ki raftar ko koi rok nahi sakta,
Ye har dard ko bhi kahani bana deta hai.
जिंदगी में बुरा वक्त भी जरूरी है,
यही असली लोगों की पहचान कराता है।
Zindagi mein bura waqt bhi zaroori hai,
Yahi asli logon ki pehchan karata hai.
वक्त इंसान को बदल भी देता है और बना भी,
बस फर्क समझने वाला चाहिए।
Waqt insaan ko badal bhi deta hai aur bana bhi,
Bas farq samajhne wala chahiye.
जिंदगी का सबसे बड़ा सच यही है,
वक्त कभी किसी का इंतज़ार नहीं करता।
Zindagi ka sabse bada sach yahi hai,
Waqt kabhi kisi ka intezar nahi karta.
वक्त और जिंदगी की यही कहानी है,
जो संभल गया वही असली जिंदगानी है।
Waqt aur zindagi ki yahi kahani hai,
Jo sambhal gaya wahi asli zindagani hai.
Emotional Dard Rishte Waqt Shayari

बुरे वक्त में भी जो तुमसे जुदा ना हो,
गौर से देखना कहीं खुदा ना हो।
Bure waqt mein bhi jo tumse juda na ho
, gaur se dekhna kahin khuda na ho.
कौन अपना कौन पराया,
बुरे वक्त ने सब बताया।
Kaun apna kaun paraya,
bure waqt ne sab bataya.
अपना पन तो सब दिखाते हैं
, पर कौन अपना है ये वक्त ही बताता है।
Apna pan to sab dikhate hain,
par kaun apna hai ye waqt hi batata hai.
मत रोना किसी के छोड़ के जाने से,
वक्त ऐसा ला देना कि वो खुद मिलने आए नए बहाने से।
Mat rona kisi ke chhod ke jaane se,
waqt aisa la dena ki wo khud milne aaye naye bahane se.
मेरे बुरे वक्त में साथ खड़े रहने वालो
, वादा रहा मेरा अच्छा वक्त केवल तुम्हारे लिए होगा।
Mere bure waqt mein saath khade rehne walo
, wada raha mera achha waqt sirf tumhare liye hoga.
बुरा वक्त पूछ के नहीं आता साहब,
कई बार जजों को भी वकील करने पड़ जाते हैं।
Bura waqt pooch ke nahi aata sahab,
kai baar jajon ko bhi vakil karne pad jaate hain.
वक्त का काम तो है गुजरना
, बुरा है तो सब्र करो, अच्छा है तो शुक्र करो।
Waqt ka kaam to hai guzarna, bura hai to sabr karo,
achha hai to shukr karo.
बुरा वक्त और हालात इंसान को उम्र
से पहले ही जिम्मेदार और समझदार बना देते हैं।
Bura waqt aur halaat insaan ko umr se
pehle hi zimmedar aur samajhdar bana dete hain.
इस दुनिया में अच्छे सभी होते हैं,
बस पहचान बुरे वक्त में होती है।
Is duniya mein achhe sabhi hote hain,
bas pehchan bure waqt mein hoti hai. 💔
Bita Hua Waqt Shayari

बिता हुआ वक़्त कभी वापस नहीं आता,
पर उसकी यादें हमेशा साथ रहती हैं।
Bita hua waqt kabhi wapas nahi aata,
par uski yaadein hamesha saath rehti hain
जो पल गुज़र गया वो कहानी बन जाता है,
और इंसान बस यादों में रह जाता है।
Jo pal guzar gaya wo kahani ban jata hai,
aur insaan bas yaadon mein reh jata hai.
वक़्त ठहरता नहीं किसी के लिए,
हर रिश्ता उसकी रफ़्तार में बदल जाता है।
Waqt thaharta nahi kisi ke liye,
har rishta uski raftaar mein badal jata hai.
बीत गया जो लम्हा वो दर्द दे जाता है,
दिल में बस एक खालीपन छोड़ जाता है।
Beet gaya jo lamha wo dard de jata hai,
dil mein bas ek khali pan chhod jata hai.
गुज़रा वक़्त सिखा कर चला जाता है,
कौन अपना है ये दिखा कर चला जाता है।
Guzra waqt sikha kar chala jata hai,
kaun apna hai ye dikha kar chala jata hai.
यादें ही अब बिता हुआ वक़्त हैं,
जो हर रात आँखों में उतर आता है।
Yaadein hi ab bita hua waqt hain,
jo har raat aankhon mein utar aata hai.
वक़्त बदलता है इंसान बदल देता है,
और पुराने रिश्तों को भी मिटा देता है।
Waqt badalta hai insaan badal deta hai,
aur purane rishton ko bhi mita deta hai.
जो लम्हा चला गया वो लौटकर नहीं आता,
बस दिल उसे बार-बार याद करता जाता।
Jo lamha chala gaya wo lautkar nahi aata,
bas dil use baar-baar yaad karta jata.
बीते हुए वक़्त का हिसाब नहीं होता,
बस दिल हर बार उदास हो जाता।
Beete hue waqt ka hisaab nahi hota,
bas dil har baar udaas ho jata.
वक़्त की धूल सब कुछ ढक देती है,
पर यादें फिर भी साफ दिखती हैं।
Waqt ki dhool sab kuch dhak deti hai,
par yaadein phir bhi saaf dikhti hain.
Zindagi Mushkil Waqt Shayari

ज़िंदगी हर मोड़ पर इम्तिहान लेती है,
कभी हालात तो कभी इंसान बदल देती है।
Zindagi har mod par imtihaan leti hai,
Kabhi halaat to kabhi insaan badal deti hai.
वक्त की मार इंसान को तोड़ भी देती है,
और वही उसे फिर से जोड़ भी देती है।
Waqt ki maar insaan ko tod bhi deti hai,
Aur wahi use phir se jod bhi deti hai.
मुश्किलें आएं तो घबराना नहीं चाहिए,
हर अंधेरा अपने साथ सवेरा लाता है।
Mushkilein aayein to ghabrana nahi chahiye,
Har andhera apne saath savera laata hai.
बुरा वक्त सिर्फ सबक देने आता है,
जो समझ जाए वही आगे बढ़ जाता है।
Bura waqt sirf sabak dene aata hai,
Jo samajh jaaye wahi aage badh jaata hai.
ज़िंदगी आसान नहीं होती, इसे बनाना पड़ता है,
हर दर्द को मुस्कान में छुपाना पड़ता है।
Zindagi aasaan nahi hoti, ise banana padta hai,
Har dard ko muskaan mein chhupana padta hai.
मुश्किल वक्त में सब साथ छोड़ देते हैं,
बस अपने ही खुद का सहारा बनते हैं।
Mushkil waqt mein sab saath chhod dete hain,
Bas apne hi khud ka sahara bante hain.
वक्त कभी रुकता नहीं किसी के लिए,
ये हर किसी को बदल देता है धीरे-धीरे।
Waqt kabhi rukta nahi kisi ke liye,
Ye har kisi ko badal deta hai dheere-dheere.
जिन्हें दर्द मिलता है वही समझदार बनते हैं,
बाकी लोग सिर्फ बातें करते रह जाते हैं।
Jinhe dard milta hai wahi samajhdaar bante hain,
Baaki log sirf baatein karte reh jaate hain.
मुश्किल वक्त भी एक दिन गुजर जाएगा,
और वही इंसान फिर से चमक जाएगा।
Mushkil waqt bhi ek din guzar jayega,
Aur wahi insaan phir se chamak jayega. 💫
Conclusion
Waqt Shayari sirf lafzon ka silsila nahi, balki yaari, trust aur rishton ke un gehre ehsaason ki pehchaan hai jo waqt ke saath aur bhi mazboot ho jaate hain. ⏳ Jo lamhe hum apne apnon ke saath jeete hain, wo sirf yaadein nahi bante balki zindagi ka hissa ban kar hamesha dil mein zinda rehte hain.
Rishte Waqt Shayari, Zindagi Waqt Shayari aur Emotional Dard Waqt Shayari unhi jazbaaton ko bayan karti hain jahan dosti, mohabbat aur trust ek khoobsurat kahani ban jaate hain. Bure waqt mein bhi ye shayari humein yaad dilati hai ke har andhera ek nayi subah ka intezar hota hai. ❤️
Agar yeh Waqt Shayari aapke dil ko chhoo gayi ho, to ise apne doston aur apnon ke saath zaroor share karein, kyunki kabhi kabhi ek chhoti si line bhi purani yaadon ko phir se zinda kar deti hai. 🤝
FAQs
Q1: Waqt Shayari kya hoti hai?
A1: Waqt Shayari woh shayari hoti hai jo waqt ke badlav, yaari, ya zindagi ke emotional lamhon ko bayan karti hai. Ye simple aur relatable hoti hai, isliye log ise WhatsApp aur Instagram par share karte hain.
Q2: Waqt Shayari kahan use ki ja sakti hai?
A2: Aap Waqt Shayari ko WhatsApp status, Instagram captions, Facebook posts, reels captions aur personal messages mein use kar sakte hain.
Q3: Achhi aur emotional Shayari kaise likhein?
A3: Emotional Shayari likhne ke liye simple alfaaz, real-life memories (jaise school ya dosti ke lamhe) aur short sentences ka use karein.
Q4: Kya main Waqt Shayari social media par share kar sakta hoon?
A4: Haan, aap in shayari lines ko freely social media par share kar sakte hain. Ye content shareable aur audience-friendly banaya gaya hai.
Q5: Aur kis type ki Shayari available hoti hai?
A5: Aap Friendship Shayari, Love Shayari, Breakup Shayari, Dosti Shayari aur Life Shayari jaise related categories bhi explore kar sakte hain.
